Added: Apr 17, 2008

From: GhulamePanjatan

Duration: 9:19

[Writeup below - Click on more info]Aey Khuda Aey Khuda, Hay Yehi Arzoo.A great dua/nauha by Ali Safdar when he was in ISO.___________________________Ay Khuda Ay Khuda hai yehi aarzooMai Imaam-e-Zamaan (ATF) kaa sipaahi banuuSaare ansaar qurbaan ho baad mein, sabse pehle fidaa apni jaan mein karuunAy Khuda...Misle Maisam jala kay chiragh-e-wafaBhardoon apnay lahoo sey ayad-e-wafaQafila Zuriyat ka Na bhatkay kabhiMisle Hurr choor jaoon chiragh-e-wafaAy Khuda...Mairay Aqa Ki Janib jo uthee nazarCheen loonga un ankhoon sey noor-e-basarKaat doonga uss aadmi ki zabaanbarh gaya koi had-e-adab sey agarAy Khuda...Kash jab mein hoon masroof-e-Kaar-e-Ghira*Maujiza aisa dikhlaye maira KhudaDekh kar mujhko alooda-e-Khaak-o-khoonKhud Imam-e-Zamaan(as) Keh uthein MarhabaAy Khuda...Jab Alam lay kay maqtal ki janib barhoonYeh rujuz shaan-e-Mola Ali mein parhoon*Ghum Nahi hay kay haq goi kay jurm meinQatl karday zamana kay phaasi charhoonAy Khuda...Ta ba Anjaam-e-Ghaybat jo mein na rahoonAyy Khuda Haq-e-Nusrat ada Yu KaroonJab Imam apnay lashkar ko tarteeb deinMein bhi Turbat sey labaik kehta uthoonAy Khuda...Daagh Hay Dil Pay Zahra ki Jageer kaGhum Hay Aale Muhammad ki Tash-heer kaKam sey Kam itni Mohlat Khuda Bakhsh DeyBadla Mein Lay Sakoon Khoon-e-Shabbir KaAy Khuda...Karbala Mein ajab zulm dhaye gayeLoota Hay sheh ko khaimay jalaye gayeMujrimo ki tarhaa dar ba dar nangay sirAhleBayt-e-Muhammad Phirayee gayeeAy Khuda...Ashqiya zulm per zulm dhatay rahayBay sabab taziyaanay lagatay rahayKhoon rotay rahay Ahlebayt-e-NabiLog Jashn-e-Musarrat manatay rahayAy Khuda...Baandh kar aik rassi mein bara galaySoo-e-darbar-e-shaam ashqiya lay chalayKoi aisa na tha jo yeh poochtaKhatm Kab hoongay yeh zulm kay silsilayAy Khuda...Karbala dey rahee hay musalsal sadaMuntazir janay kab sey hain ahle wila*Jald hoo abb zahoor-e-Imam-e-ZamaanAyy Khuda Hay yehi aarzo-e-wafaAy Khuda Ay Khuda hai yehi aarzooMai Imaam-e-Zamaan (ATF) kaa sipaahi banuu!(Ameen)

Channel: People

Tags: aarzo  aarzoo  ali  arzu  ay  banoon  banu  hay  hey  hezbollah  imam  khuda  maula  mola  nauha  noha  safdar  sipahi  yahi  zamaan  zaman 


Rating: 5.00 (5 ratings)    Views: 4334' favoriteCount='8    Comments: 4

exsunni Says:

Jul 24, 2008 - mashallah nice noha. good upload

krishfaiz Says:

Aug 8, 2008 - mashallah .. THANX FOR UPLOADING

kartBOI Says:

Aug 14, 2008 - Salawat ala muhammad wa aleh muhammad, al ajal aye agham emam Mahdi (as)

mhspb Says:

Aug 18, 2008 - Thx been looking for this for sooo long